apni to koi baat banae nahin bani
kuchh hum na kah sake to kuchh us ne nahin suni
yun to chahaar samt hai apne hisar-e-shab
hum tirgi ko chhed ke late hain raushni
nadida manzaron se tarashe hain KHwab zar
kab dar-KHur-e-nigah koi manzar hai didani
ochha tha war us ka magar hum na bach sake
kisi zahr mein bujhai thi us shaKHs ne ani
har-dil-aziz wo bhi hai hum bhi hain KHush-mizaj
ab kya bataen kaise hamari nahin bani
auron ki tarah hum bhi magar jhel jaenge
sab zindagi samajhte hain jis ko wo jaan-kani
'bilqis' apni baat to sab se alag rahi
na-guftani suni hai kahi na-shunidani
Ghazal
Apni to koi baat banae nahin bani
Bilqis Zafirul Hasan