apni taqdir se baghawat ki
aaj hum ne bhi ek ibaadat ki
kaun hai jis ke sar ki khaen qasam
kis ne hum se yahan mohabbat ki
aur kya hai ye ghar ka sannaTa
ek aawaz hai mohabbat ki
hum ko miTna tha miT gae 'nuri'
chah mein ek be-murawwat ki

Ghazal
Apni taqdir se baghawat ki
Karrar noori