اردو हिंदी
Apni hasti nazar aai thi abhi | Shaahi Shayari
apni hasti nazar aai thi abhi

Ghazal

Apni hasti nazar aai thi abhi

Karrar noori

;

apni hasti nazar aai thi abhi
sans se shama bujhai thi abhi

kaun ho sakta hai aane wala
ek aawaz si aai thi abhi

ek surat thi ki dil hi dil mein
ek surat se mil aai thi abhi

sath apne wo KHuda tha koi
sath apne jo KHudai thi abhi

sab ki aankhon mein nazar aane lagi
dil mein surat jo chhupai thi abhi

baat kahte hi zara kho se gae
baat mushkil se banai thi abhi

phir wafadar nazar aane laga
bewafa jis se laDai thi abhi