اردو हिंदी
Apni aankhon se jo wo ojhal hai | Shaahi Shayari
apni aankhon se jo wo ojhal hai

Ghazal

Apni aankhon se jo wo ojhal hai

Syed Agha Ali Mehr

;

apni aankhon se jo wo ojhal hai
dil taDapta hai jaan bekal hai

phuljaDi hai izar-band nahin
naf se panw tak jhala-jhal hai

na chhalawe mein hai na bijli mein
teri raftar mein jo chhalbal hai

nazuki mein safa mein bu mein wo jism
phul hai aaina hai sandal hai

Dor tar-e-shuaa hai ai 'mehr'
aaftab us pari ka takkal hai