apne wadon ko faramosh na kar dena tha
saz-e-altaf ko KHamosh na kar dena tha
apni nazron se agar mujh ko kiya tha ojhal
apne dil se to faramosh na kar dena tha
nahin aata tha agar hosh mein lana tum ko
kisi kambaKHt ko behosh na kar dena tha
har-nafas maut ke qadmon ki sada sunne ko
zindagi ko hama-tan-gosh na kar dena tha
aansuon mein faqat ab mujh ko nazar aate ho
is tarah to mujhe gham-kosh na kar dena tha
na uThana tha dar-e-mai-kada-e-naz se ab
warna pahle mujhe mai-nosh na kar dena tha
hashr bhi ya to bahisht-afrin karna tha mera
ya meri qabr ko gul-posh na kar dena tha
is tarah zahmat-e-farda ko baDhane ke liye
mujh ko KHamyaza-kash-e-dosh na kar dena tha
aankh mein dekh kar aansu mujhe rashk aata hai
itna viran to aaghosh na kar dena tha
daftar-e-naz pe kuchh bar na tha is ka niyaz
apne 'bismil' ko subuk-dosh na kar dena tha
Ghazal
Apne wadon ko faramosh na kar dena tha
Bismil Saeedi