اردو हिंदी
Apne tasawwuraat se aage nikal gaya | Shaahi Shayari
apne tasawwuraat se aage nikal gaya

Ghazal

Apne tasawwuraat se aage nikal gaya

Osaama ameer

;

apne tasawwuraat se aage nikal gaya
kal shab mein kaenat se aage nikal gaya

suraj ko dekhne ke liye main dam-e-sahar
be-iKHtiyar raat se aage nikal gaya

wo pattharon ko karne laga aaina-sifat
main had-e-mumkinat se aage nikal gaya

manzar bahut khule meri aankhon ke samne
lekin main waqiat se aage nikal gaya

main han aur ek nahin ke abhi darmiyan hun
mera wajud zat se aage nikal gaya