apne pindar se ghaT kar nahin qaem rahta
fard kirdar se haT kar nahin qaem rahta
aks baT jata hai aainon mein lekin ai dil
aaina aks mein baT kar nahin qaem rahta
koi bhi naqsh ho kitna hi mukammal lekin
waqt ki gard mein aT kar nahin qaem rahta
aasmanon mein uDanon ka maza hoga magar
koi bhi KHak se kaT kar nahin qaem rahta
rose ek rah nai shauq-e-safar mangta hai
daeron mein hi simaT kar nahin qaem rahta
qita-e-jaan ko jalata hua is dhup ka rang
chhanw se teri lipaT kar nahin qaem rahta
yaad mein un ki kai bar bikhar jata hai
dil bhi kya hai ki simaT kar nahin qaem rahta
dil wo bachcha ki isi pal mein humakna chahe
ye wo lamha ki palaT kar nahin qaem rahta

Ghazal
Apne pindar se ghaT kar nahin qaem rahta
Narjis Afroz Zaidi