apne pahle makan tak ho aaun 
main zara aasman tak ho aaun 
koi paikar pukarta hai mujhe 
samne ki chaTan tak ho aaun 
jhaDta jata hai jism roz-ba-roz 
kuza-gar ki dukan tak ho aaun 
sehr-e-tashkik! ab rihai de 
main koi dam guman tak ho aaun 
waqt ab dastaras mein hai 'aKHtar' 
ab to main jis jahan tak ho aaun
        Ghazal
Apne pahle makan tak ho aaun
Akhtar Usman

