apne ko talash kar raha hun
apni hi talab se Dar raha hun
tum log ho aandhiyon ki zad mein
main qaht-e-hawa se mar raha hun
KHud apne hi qalb-e-KHun-chakan mein
KHanjar ki tarah utar raha hun
ai shahr-e-KHayal ke musafir
kya main tera ham-safar raha hun
diwar pe daere hain kaise
ye kaun hai kis se Dar raha hun
main shabnam-e-chashm-e-tar se ai subh
kal raat bhi tar-ba-tar raha hun
ek shaKHs se talKH-kaam ho kar
har shaKHs ko pyar kar raha hun
ai dajla-e-KHun zara Thaharna
is rah se main guzar raha hun
fariyaad ki zer-e-saya-e-gul
main zahr-e-KHizan se mar raha hun
Ghazal
Apne ko talash kar raha hun
Rais Amrohvi