اردو हिंदी
Apne hone se bhi inkar kiye jate hain | Shaahi Shayari
apne hone se bhi inkar kiye jate hain

Ghazal

Apne hone se bhi inkar kiye jate hain

Jaleel u0027Aaliu0027

;

apne hone se bhi inkar kiye jate hain
hum ki rasta tera hamwar kiye jate hain

roz ab shahr mein sajte hain tijarat mele
log sehnon ko bhi bazar kiye jate hain

Dalte hain wo jo kashkol mein sansen gin kar
kal ke sapne bhi giraftar kiye jate hain

kis ko malum yahan asal kahani hum to
darmiyan ka koi kirdar kiye jate hain

dil pe kuchh aur guzarti hai magar kya kije
lafz kuchh aur hi izhaar kiye jate hain

mere dushman ko zarurat nahin kuchh karne ki
us se achchha to mere yar kiye jate hain