apne hi KHun se is tarah adawat mat kar
zinda rahna hai to sanson se baghawat mat kar
sikh le pahle ujalon ki hifazat karna
shama bujh jae to aandhi se shikayat mat kar
sar ki bazar-e-siyasat mein nahin hai qimat
sar pe jab taj nahin hai to hukumat mat kar
KHwab ho jam ho tara ho ki mahbub ka dil
TuTne wali kisi shai se mohabbat mat kar
dekh phir dast-e-zarurat mein na bik jae zamir
zar ke badle mein usulon ki tijarat mat kar
pursish-e-haal se ho jaenge phir zaKHm hare
is se behtar hai yahi meri ayaadat mat kar
sar jhukane ko hi sajda nahin kahte 'dana'
jis mein dil bhi na jhuke aisi ibaadat mat kar
Ghazal
Apne hi KHun se is tarah adawat mat kar
Abbas Dana