اردو हिंदी
Apne ehsas se bahar nahin hone deta | Shaahi Shayari
apne ehsas se bahar nahin hone deta

Ghazal

Apne ehsas se bahar nahin hone deta

Jafar Shirazi

;

apne ehsas se bahar nahin hone deta
raaz zahir bhi ye mujh par nahin hone deta

KHauf-e-ruswai se kar deta hai hairan aisa
meri aankhon ko samundar nahin hone deta

mom kar deta hai jab lauT ke aa jata hai
mujh ko furqat mein wo patthar nahin hone deta

dekhta hun to kabhi chand kabhi phul hai wo
apni surat mujhe azbar nahin hone deta

ji mein hai uD ke chala jaun jahan rahta hai
wo mera ghar bhi mera ghar nahin hone deta

jab bhi milta hai to bas TuT ke milta hai mujhe
apne gham ka mujhe KHugar nahin hone deta

ruTh bhi jate hain 'jafar' to mana lene mein
mujh ko apne se wo behtar nahin hone deta