apne bimar sitare ka mudawa hoti
dard ki raat agar anjuman-ara hoti
kuchh to ho jati tasalli dil-e-pazhmurda ko
ghar ki virani jo saman-e-tamasha hoti
zindagi apni is aashufta-mizaji se bani
ye na hoti to meri zat bhi sahra hoti
sari raunaq tere hone ke yaqin mein hai nihan
tu na hota to bhala kahe ko duniya hoti
hain bahut husn mein yan nadir-o-kamyab to log
koi surat nahin aisi ki jo yakta hoti
raushni ke liye phirte rahe dar dar hum log
koi dahliz to mehrab ka dhoka hoti
teri tazim se aaghaz jo karta 'rashid'
us ki duniya tere irfan ka gosha hoti

Ghazal
Apne bimar sitare ka mudawa hoti
Rashid Taraz