apne ashaar ko ruswa sar-e-bazar karun
kaise mumkin hai ki main midhat-e-darbar karun
dil mein maqtul ki taswir liye phirta hun
aur qatil se aqidat ka bhi izhaar karun
yahi manshur-e-mohabbat hai ki wo paikar-e-zulm
jis ko nafrat se nawaze main use pyar karun
ab mere shahr ki pahchan hai ek wada-shikan
shahriyat badlun ki tariKH ka inkar karun
raat bhar jag ke tamir karun qasr-e-umid
subh-e-takmil se pahle use mismar karun

Ghazal
Apne ashaar ko ruswa sar-e-bazar karun
Ghulam Mohammad Qasir