apne andar se jo bahar nikle
KHud-numai ka samundar nikle
ab sazaen hi muqaddar Thahrin
taziyanon ke sana-gar nikle
aise bhi log hain is shahr mein jo
dhup mein barf pahan kar nikle
faKHtaon ka tamasKHur tauba
chiyunTiyon ke bhi ajab par nikle
hath jab qabza-e-shamshir pe ho
kyun na maqtal mein dilawar nikle
khinch do dar pe dil-daron ko
shahryaron ka zara Dar nikle
jis bhi diwar mein dar karta hun
wahi diwar pas-e-dar nikle
kashtiyan chhoD ke dariyaon mein
regzaron se shanawar nikle
aandhiyon mein bhi khaDe hain ab tak
hum daraKHton se qad-awar nikle
bhik us shahr mein hum kya mangen
jis ke hatim bhi gadagar nikle
panw mein bandh ke ghunghru 'mohsin'!
chand qabron ke mujawir nikle
Ghazal
Apne andar se jo bahar nikle
Mohsin Ehsan