اردو हिंदी
Apna pata mujhe bata bahr-e-KHuda tu kaun hai | Shaahi Shayari
apna pata mujhe bata bahr-e-KHuda tu kaun hai

Ghazal

Apna pata mujhe bata bahr-e-KHuda tu kaun hai

Yasin Ali Khan Markaz

;

apna pata mujhe bata bahr-e-KHuda tu kaun hai
tujh pe hain sare mubtala bahr-e-KHuda tu kaun hai

nam-e-KHuda suna kiya tere siwa nahin mila
sari sifat se hai bhara bahr-e-KHuda tu kaun hai

tera hasad to nam tha ho gaya banda kis tarah
teri hi zat hai baqa bahr-e-KHuda tu kaun hai

tere se hast kul hui thi tu adam mein be-nishan
hadi muzil hai barmala bahr-e-KHuda tu kaun hai

malik-e-do-jahan hai tu chahe jise ata kare
kar de gada ko baadsha bahr-e-KHuda tu kaun hai

tere karam se ai shaha main ne KHuda-numa hua
tha tu fana baqa mila bahr-e-KHuda tu kaun hai

'markaz'-e-jumla-kaenat mazhar-e-zat-e-kibriya
tere siwa nahin hua bahr-e-KHuda tu kaun hai