apna apna samay bata rahe hain
hum talluq kahan nibha rahe hain
wo bhi sab aap ka diya hua tha
ye bhi hai aap ka jo kha rahe hain
so rahe hain kisi ke pahlu mein
aur tera KHwab gunguna rahe hain
us ke chehre se subh uThai hai
us ki aankhon se shab chura rahe hain
dad wo de nahin rahe hain magar
mere sheron se haz uTha rahe hain
wo gali se guzar rahi hai 'wasim'
mujh ko ghar mein KHayal aa rahe hain

Ghazal
Apna apna samay bata rahe hain
Waseem Tashif