na main samjha na aap aae kahin se
pasina pochhiye apni jabin se
Tapakta hai pasina us jabin se
sitare jhaDte hain mah-e-mubin se
chali aati hai honTon par shikayat
nadamat Tapki paDti hai jabin se
main us barham-mizaji ke tasadduq
ulajhte hain wo zulf-e-ambarin se
basar karta raha hun zindagani
ta-tegh us nigah-e-sharmagin se
ye kis naqsh-e-qadam par jibah-sa hun
ki sar uThta nahin apna zamin se
tumhein ham-KHwab-dushman dekhta hun
uTha parda ye chaak-e-astin se
jahan madfun hain tere kushta-e-nar
yaqin hai hashr uThega wahin se
nahin ku-e-adu mein naqsh-e-pa tak
magar wo uD ke chalte hain zamin se
junun mein is ghazab ki KHak uDai
banaya aasman hum ne zamin se
gareban-gir hai yahan shauq-e-murdan
wo KHanjar to nikalen aastin se
kahan ki dil-lagi kaisi mohabbat
mujhe ek lag hai jaan-e-hazin se
do rangi ek ja un se na chhoTi
mujhe mara ada-e-mahr-o-kin se
ulaT dega jahan bismil taDap kar
sambhaalo dast-e-pa-e-naznin se
bajae shama julte hain sarapa
tumhaari bazm raushan hai hamin se
ghazab hi be-jigar tha bismil-e-shauq
ki ja lipTa tere fitrak-e-zin se
wo kuchh be-tabiyan bigDe se tewar
laDai mein maza hai us hasin se
udhar mara idhar mujh ko jilaya
lab-e-jaan-baKHsh wa chashm-e-KHashmagin se
na nikli us ke munh se aah tak bhi
jise mara nigah-e-sharmagin se
na dil qabu mein aur dil mein na ab sabr
khinchen kis bal pe hum us KHashmagin se
uThane ek qayamat baiThe hain wo
ghazab fitne laga lae kamin se
kami ki dast-e-qatil ne to bismil
baDhae dast-o-pa-e-naznin se
udhar lao zara dast-e-hinai
pakaD den chor dil ka hum yahin se
agar sach hai hasinon mein tilon
to hai ummid wasl un ki nahin se
ba-rang-e-bu nikalte hain karishme
tumhaari nargis-e-sahar-afrin se
jahannam hai mujhe gulzar-e-jannat
juda hun ek izar-e-atishin se
ye parde hain ba-shauq-e-didar
ye sari lan-tarani hai hamin se
jahan ko jalwa-gah-e-yar dekhen
jo nazara karen chashm-e-yaqin se
mujhe kya gham ki bar ulfat-e-ghair
na uTThega kabhi us naznin se
sananen chal rahi hain jaan-o-dil par
nigahen laD rahi hain ek hasin se
wahan aashiq-kushi hai ain-iman
unhen kya bahs 'anwar' kufr-o-din se
Ghazal
Na main samjha na aap aae kahin se
Anwar Dehlvi