اردو हिंदी
Anokha kuchh kahan aisa hua hai | Shaahi Shayari
anokha kuchh kahan aisa hua hai

Ghazal

Anokha kuchh kahan aisa hua hai

Jafar Sahni

;

anokha kuchh kahan aisa hua hai
tamasha sab mera dekha hua hai

KHushi ko ham-nashin apna bana kar
nishan-e-gham bahut gahra hua hai

hansi kyun be-tahasha aai us ko
zamana kis liye sanka hua hai

nai shadab qurbat ki faza mein
bahut maKHmur sa lahja hua hai

sarapa dekh kar dilkash kisi ka
har ek manzar wahan Thahra hua hai

kabhi mansub rahat se tha dariya
baDa be-dard wo sahra hua hai

tapish mein ishq ki bechain sa tha
kaleja ro ke ab ThanDa hua hai

saja kar bazm 'jafar' aarzu ki
akela der se baiTha hua hai