anjuman mein jo meri itni ziya hai sahab
KHun-e-dil mere charaghon ki ghiza hai sahab
but-shikan nikla wahi samjha tha jis ko but-gar
jis mein rahta tha wahi toD gaya hai sahab
aankh se aansu chura le gaya lekin wo shaKHs
be-guhar sip yahin chhoD gaya hai sahab
mujh ko jannat ke nazare bhi nahin jachte hain
shahr-e-jaanan hi tasawwur mein basa hai sahab
regzaron ke safar pe jo chale ho 'alok'
koi aankhon mein liye ashk khaDa hai sahab
Ghazal
Anjuman mein jo meri itni ziya hai sahab
Alok Yadav