اردو हिंदी
Anjam-e-wafa bhi dekh liya ab kis liye sar KHam hota hai | Shaahi Shayari
anjam-e-wafa bhi dekh liya ab kis liye sar KHam hota hai

Ghazal

Anjam-e-wafa bhi dekh liya ab kis liye sar KHam hota hai

Iqbal Suhail

;

anjam-e-wafa bhi dekh liya ab kis liye sar KHam hota hai
nazuk hai mizaj-e-husn bahut sajde se bhi barham hota hai

mil-jul ke ba-rang-e-rang-e-shir-o-shakar donon ke nikharte hain jauhar
dariyaon ke sangam se baDh kar tahzib ka sangam hota hai

kuchh ma-o-shuma mein farq nahin kuchh shah-o-gada mein bhed nahin
hum baada-kashon ki mahfil mein har jam ba-kaf jam hota hai

diwanon ke jubba-o-daman ka uDta hai faza mein jo TukDa
mustaqbil-e-millat ke haq mein iqbaal ka parcham hota hai

mansur jo hota ahl-e-nazar to dawa-e-baatil kyun karta
us ki to zaban khulti hi nahin jo raaz ka mahram hota hai

ta-chand 'suhail' afsurda-e-gham kya yaad nahin tariKH-e-haram
iman ke jahan paDte hain qadam paida wahin zamzam hota hai