andhi rahon ki uljhan mein bechaari ghabrai raat
pahle lahu mein phir aansu mein phir kirnon mein nahai raat
ek parde ko uTh jaana tha ek chehre ko aana tha
kitni hasin thi kitni dilkash sharmai sharmai raat
har shaKH-e-gul mein thi ye narmi ghunche tak gir jate the
aaj har ek Tahni patthar hai kaisi aandhi lai raat
ek karishma ek dhoka tha ek tahayyur-sazi thi
lekin ek aalam ne ye samjha ki din se Takrai raat
ek naya dar ek naya ghar ek naya hangama hai
ek nae rahzan ke ghar ek naya musafir lai raat
Ghazal
Andhi rahon ki uljhan mein bechaari ghabrai raat
Paigham Aafaqi