اردو हिंदी
Andaz wo nahin hai ab wo ada nahin hai | Shaahi Shayari
andaz wo nahin hai ab wo ada nahin hai

Ghazal

Andaz wo nahin hai ab wo ada nahin hai

Minu Bakshi

;

andaz wo nahin hai ab wo ada nahin hai
pahla sa bankpan to tujh mein raha nahin hai

kyun sans ghuT rahi hai kyun muztarib hai dil bhi
shayad khuli faza mein taza hawa nahin hai

tanqid kar raha hai kuchh is ada se mujh par
jaise ki is jahan mein mera KHuda nahin hai

hai ishq nam mera dil hai maqam mera
is ke siwa jahan mein mera pata nahin hai