amman se mile biwi ke zewar ki tarah hai
KHuddari mere pas dharohar ki tarah hai
is moD pe pahuncha hai kai sal ganwa kar
wo shaKHs bhi qiston mein bane ghar ki tarah hai
aa jaega aasani se ab mujh ko sambhalna
aadat teri mere liye Thokar ki tarah hai
aata hai wahi kaam musibat ke dinon mein
farzand mere ghar mein bhi lofar ki tarah hain

Ghazal
Amman se mile biwi ke zewar ki tarah hai
Pratap Somvanshi