اردو हिंदी
Alfaz hain ye sare usi ki zaban ke | Shaahi Shayari
alfaz hain ye sare usi ki zaban ke

Ghazal

Alfaz hain ye sare usi ki zaban ke

Mohan Seerat Ajmeri

;

alfaz hain ye sare usi ki zaban ke
pahchanta hun tir main us ki kaman ke

har bund pe guman tha moti ki aab ka
aankhon mein ashk aae baDi aan-ban ke

har har ada-o-naz ki qimat the jaan-o-dil
saude bahut hi mahnge the us ki dukan ke

us ke ajab sawal the mere ajab jawab
parche sabhi KHarab hue imtihan ke

gham se ziyaada aur na behtar laga koi
unwan sainkaDon the meri dastan ke

kis sadgi se us ne ye 'sirat' kaha mujhe
tare bhi toD sakte ho kya aasman ke