aks ne mere rulaya hai mujhe
koi apna nazar aaya hai mujhe
pesh-e-aina bahut sochta hun
kis liye us ne banaya hai mujhe
kis liye wusat-e-sahra de kar
tang galiyon mein phiraya hai mujhe
kis liye mere hi sehn-e-jaan mein
misl-e-diwar uThaya hai mujhe
main kahin aur ka rahne wala
gham kahan khinch ke laya hai mujhe
jis mein us chhanw ki yaad aa jae
ab to wo dhup bhi saya hai mujhe
nigah-e-naz se kyunkar puchhun
kyun nigahon se giraya hai mujhe
hath mein le ke gireban mera
dil ne dil bhar ke sataya hai mujhe
saKHt hairan hun sar-e-koh-e-nida
kaun tha kis ne bulaya hai mujhe
Ghazal
Aks ne mere rulaya hai mujhe
Khursheed Rizvi