aks har roz kisi gham ka paDa karta hai
dil wo aaina ki chup-chap taka karta hai
bahte pani ki tarah dard ki bhi shakl nahin
jab bhi milta hai naya rup hua karta hai
main to bahrup hun us ka jo hai mere andar
wo koi aur hai jo mujh mein jiya karta hai
rang sa roz bikhar jata hai diwaron par
kuchh diye jaisa dariche mein jala karta hai
jaane wo kaun hai jo raat ke sannaTe mein
kabhi rota hai kabhi KHud pe hinsa karta hai
roz rahon se guzarta hai sadaon ka julus
dil ka sannaTa magar roz baDha karta hai
Ghazal
Aks har roz kisi gham ka paDa karta hai
Bashar Nawaz