aks aaina-KHana se alag rakkha hai
wahshat-e-zat ko sahra se alag rakkha hai
KHud ko main KHud se bhi milne nahin deta hargiz
apni duniya ko bhi duniya se alag rakkha hai
main kahan saat-e-imroz mein rahne wala
main ne har rose ko farda se alag rakkha hai
do mahazon pe abhi marka-arai hai
KHema-e-sabr ko dajla se alag rakkha hai
KHushk mashkiza-e-hulqum ki nigarani mein
pyas ke KHitte ko dariya se alag rakkha hai
wo to kahta hai teri zat mein zam hun lekin
us ne bhi KHud ko bas ek la se alag rakkha hai
kitna aasan hai ye jada-e-dushwar bhi ab
apna har naqsh kaf-e-pa se alag rakkha hai
main 'yagana' ka taraf-dar nahin hun 'shahid'
is liye mir ko mirza se alag rakkha hai
Ghazal
Aks aaina-KHana se alag rakkha hai
Shahid Kamal