اردو हिंदी
Akele kya pas-e-diwar-o-dar gae hum tum | Shaahi Shayari
akele kya pas-e-diwar-o-dar gae hum tum

Ghazal

Akele kya pas-e-diwar-o-dar gae hum tum

Anwar Shuoor

;

akele kya pas-e-diwar-o-dar gae hum tum
sagan-e-KHufta ko hoshyar kar gae hum tum

qadam qadam pe ajab be-haya nigahon ka
hisar sa nazar aaya jidhar gae hum tum

gulon ne KHub pazirai ki ki bhule se
kisi chaman mein na bar-e-digar gae hum tum

umid-e-wasl ke din kaT gae bhaTakne mein
na hoTalon pe yaqin tha na ghar gae hum tum

hawa-e-dahr ne sahma rakha tha kis darja
kiwaD bhi kahin khaDka to Dar gae hum tum

falak ki dhun thi magar farsh par hamare panw
jame na the ki KHala mein bikhar gae hum tum

zahe ye himmat-e-parwaz bhi magar ab to
nasheb mein kai zine utar gae hum tum