ajnabi Thahre chalo tum yun magar kis waste
baat mausam ki sahi par muKHtasar kis waste
kya tumhaare shahar mein bas ek mujrim hain hamin
is qadar ilzam aae apne sar kis waste
ab to lahron se shanasai rahegi umr bhar
likh gaya wo nam mera ret par kis waste
ab khula hai KHud se baDh kar koi sachchai nahin
muddaton KHud se rahe hum be-KHabar kis waste
kya KHabar thi unghte zehnon ko jo chaunka gai
lag rahi hai bhiD si har chauk par kis waste
mere pas aaen to 'arshi' chum kar rakh lun unhen
KHushk patte uD rahe hain dar-ba-dar kis waste

Ghazal
Ajnabi Thahre chalo tum yun magar kis waste
Irshad Arshii