ajib shaKHs hai pahle mujhe hansata hai
phir is ke baad bahut der tak rulata hai
wo bewafa hai hamesha hi dil dukhata hai
magar ye kya ki wahi ek hum ko bhata hai
wo hosh gosh ka insan hai phir bhi sahra mein
kisi diwane ki surat sada lagata hai
KHizar to aate nahin hain mere KHarabe mein
ye kaun hai jo mujhe rasta dikhata hai
har ek raat kahin dur bhag jata hun
har ek subh koi mujh ko khinch lata hai
kabhi wo mujh ko uData hai aasmanon mein
kabhi zamin pe la kar mujhe giraata hai
Ghazal
Ajib shaKHs hai pahle mujhe hansata hai
Ghazanfar