ajib saneha mujh par guzar gaya yaro
main apne sae se kal raat Dar gaya yaro
har ek naqsh tamanna ka ho gaya dhundla
har ek zaKHm mere dil ka bhar gaya yaro
bhaTak rahi thi jo kashti wo gharq-e-ab hui
chaDha hua tha jo dariya utar gaya yaro
wo kaun tha wo kahan ka tha kya hua tha use
suna hai aaj koi shaKHs mar gaya yaro
main jis ko likhne ke arman mein jiya ab tak
waraq waraq wo fasana bikhar gaya yaro
Ghazal
Ajib saneha mujh par guzar gaya yaro
Shahryar