ajib rang tere husn ka lagaw mein tha
gulab jaise kaDi dhup ke alaw mein tha
hai jis ki yaad meri fard-e-jurm ki surKHi
usi ka aks mere ek ek ghaw mein tha
yahan wahan se kinare mujhe bulate rahe
magar main waqt ka dariya tha aur bahaw mein tha
urus-e-gul ko saba jaise gudguda ke chali
kuchh aisa pyar ka aalam tere subhaw mein tha
main pur-sukun hun magar mera dil hi jaanta hai
jo intishaar mohabbat ke rakh-rakhaw mein tha
ghazal ke rup mein tahzib ga rahi thi 'nadim'
mera kamal mere fan ke is rachaw mein tha
Ghazal
Ajib rang tere husn ka lagaw mein tha
Ahmad Nadeem Qasmi