ajib nashsha hai hoshyar rahna chahta hun
main us ke KHwab mein bedar rahna chahta hun
ye mauj-e-taza meri tishnagi ka wahm sahi
main is sarab mein sarshaar rahna chahta hun
siyah chashm meri wahshaton pe tanz na kar
main qatilon se KHabar-dar rahna chahta hun
ye dard hi mera chaara hai tum ko kya malum
haTao hath main bimar rahna chahta hun
idhar bhi aaegi shayad wo shah-banu-e-shahr
ye soch kar sar-e-bazar rahna chahta hun
hawa gulab ko chhu kar guzarti rahti hai
so main bhi itna gunahgar rahna chahta hun
Ghazal
Ajib nashsha hai hoshyar rahna chahta hun
Irfan Siddiqi