ajib manzar hai barishon ka makan pani mein bah raha hai 
falak zamin ki hudud mein hai nishan pani mein bah raha hai 
tamam faslen ujaD chuki hain na hal bacha hai na bail baqi 
kisan girwi rakha hua hai lagan pani mein bah raha hai 
azab utra to panw sab ke zamin ki sathon se aa lage hain 
hawa ke ghar mein nahin hai koi machan pani mein bah raha hai 
koi kisi ko nahin bachata sab apni KHatir hi tairte hain 
ye din qayamat ka din ho jaise jahan pani mein bah raha hai 
udas aankhon ke baadalon ne dilon ke gard-o-ghubar dhoe 
yaqin patthar bana khaDa hai guman pani mein bah raha hai
        Ghazal
Ajib manzar hai barishon ka makan pani mein bah raha hai
Shakeel Azmi

