اردو हिंदी
Ajib haalat hai jism-o-jaan ki hazar pahlu badal raha hun | Shaahi Shayari
ajib haalat hai jism-o-jaan ki hazar pahlu badal raha hun

Ghazal

Ajib haalat hai jism-o-jaan ki hazar pahlu badal raha hun

Azm Shakri

;

ajib haalat hai jism-o-jaan ki hazar pahlu badal raha hun
wo mere andar utar gaya hai main KHud se bahar nikal raha hun

bahut se logon mein panw ho kar bhi chalne-phirne ka dam nahin hai
mere KHuda ka karam hai mujh par main apne pairon se chal raha hun

main kitne ashaar likh ke kaghaz pe phaD deta hun be-KHudi mein
mujhe pata hai main azhdaha ban ke apne bachche nigal raha hun

wo tez aandhi jo gard uDati hui gai hai tabhi se yaro
gali ke nukkaD pe baiTha baiTha main apni aankhen masal raha hun

abhi to aaghaz hai safar ka abhi andhere bahut milenge
tum apni shamen bacha ke rakkho charagh ban kar main jal raha hun