اردو हिंदी
Ajab tha zoam ki bazm-e-aza sajaenge | Shaahi Shayari
ajab tha zoam ki bazm-e-aza sajaenge

Ghazal

Ajab tha zoam ki bazm-e-aza sajaenge

Ghufran Amjad

;

ajab tha zoam ki bazm-e-aza sajaenge
mere harif lahu ke diye jalaenge

main tajrabon ki aziyyat kise kise samjhaun
ki tere baad bhi mujh par azab aaenge

bas ek sajda-e-tazim ke taqabul mein
kahan kahan wo jabin-e-talab jhukaenge

atash atash ki sadaen uThi samundar se
to dasht-e-pyas ke chashme kahan lagaenge

chhupa ke rakh to liya hai sharar-e-bu-lahbi
dhuan uTha to nazar tak mila na paenge

daraaz karte raho dast-e-haq-shanas apna
bahut hua to wo neze pe sar uThaenge

nawah-e-lafz-o-maani mein gunj hai kis ki
koi batae ye 'amjad' ki hum bataenge