ajab talash-e-musalsal ka iKHtitam hua
husul-e-rizq hua bhi to zer-e-dam hua
tha intizar manaenge mil ke diwali
na tum hi lauT ke aae na waqt-e-sham hua
har ek shahr ka mear muKHtalif dekha
kahin pe sar kahin pagDi ka ehtiram hua
zara si umr adawat ki lambi fehristen
ajib qarz wirasat mein mere nam hua
na thi zamin mein wusat meri nazar jaisi
badan thaka bhi nahin aur safar tamam hua
hum apne sath liye phir rahe hain pachhtawa
KHayal lauT ke jaane ka gam gam hua
Ghazal
Ajab talash-e-musalsal ka iKHtitam hua
Aanis Moin