ajab pagal hai dil kar-e-jahan bani mein rahta hai 
KHuda jab dekhta hai KHud bhi hairani mein rahta hai 
main wo TuTa hua tara jise mahfil na ras aai 
main wo shola jo shab bhar aankh ke pani mein rahta hai 
koi aisa nahin milta jo mujh mein Dub kar dekhe 
mere gham ko jo mere dil ki virani mein rahta hai 
hazaron bijliyan TuTin nasheman bhi jala lekin 
koi to hai jo is ghar ki nigahbani mein rahta hai 
KHuda aur naKHuda donon KHajil hain haal par mere 
main wo tinka hun jo aaghosh-e-tughyani mein rahta hai 
rumuz-e-mumlikat ya rab KHirad samjhe ya tu jaane 
junun mera to shauq-e-chaak-damani mein rahta hai 
ghazal likhne se kya hoga 'mujibi' kuchh qaside likh 
sharaf sunte hain ab tarz-e-sana-KHwani mein rahta hai
        Ghazal
Ajab pagal hai dil kar-e-jahan bani mein rahta hai
Siddique Mujibi

