ajab nahin kabhi naghma bane fughan meri
meri bahaar mein shamil hai ab KHizan meri
main apne aap ko auron mein rakh ke dekhta hun
kahin fareb na hon dard-mandiyan meri
main apni quwwat-e-izhaar ki talash mein hun
wo shauq hai ki sambhalti nahin zaban meri
yahi sabab hai ki ahwal-e-dil nahin kahta
kahun to aur ulajhti hain gutthiyan meri
main apne ijz pe nadim nahin hun ham-suKHano
hazar shukr tabiat nahin rawan meri
Ghazal
Ajab nahin kabhi naghma bane fughan meri
Ahmad Mushtaq