ajab KHajalat-e-jaan hai nazar tak aai hui
ki jaise zaKHm ki taqrib-e-ru-numai hui
nazar to apne manazir ke ramz jaanti hai
ki aankh kah nahin sakti suni-sunai hui
barun-e-KHak faqat chand Thekre hain magar
yahan se shahr milenge agar khudai hui
KHabar nahin hai ki tu bhi wahan mile na mile
agar kabhi mere dil tak meri rasai hui
main aandhiyon ke muqabil khaDa hua hun 'saud'
paDi hai fasl-e-mohabbat kaTi-kaTai hui
Ghazal
Ajab KHajalat-e-jaan hai nazar tak aai hui
Saud Usmani