ajab ek saya-e-lahut mein tahlil hogi
fusun-e-hashr se haiat meri tabdil hogi
kiye jaenge mere jism mein nuri izafe
kisi raushan sitare par meri takmil hogi
diya jaega ghusl-e-awwalin mere badan ko
tilismi-bagh hoga us ke andar jhil hogi
kabhi pahunchega hiss-e-samea tak harf-e-KHufta
kabhi aawaz-e-na-malum ki tarsil hogi
kabhi uqde khulenge is asatiri zamin ke
kabhi is dastan-e-kuhna ki tawil hogi

Ghazal
Ajab ek saya-e-lahut mein tahlil hogi
Rafiq Sandelvi