aisi taDap ata ho ke duniya misal de
ek mauj-e-tah-nashin hun mujhe bhi uchhaal de
be-chehragi ki bhiD mein gum hai mera wajud
main KHud ko DhunDhta hun mujhe KHad-o-KHal de
har lahza bante TuTte rishte na hon jahan
pichhli rafaqaton ke wahi mah o sal de
Kashkol-e-zat le ke na jaun main dar-ba-dar
hajat-rawa ho sab ka wo dast-e-sawal de
is dasht-e-pur-sarab mein bhaTkun kahan kahan
zinjir-e-agahi mere pairon mein Dal de
'manzur' ka ye zarf ki kuchh mangta nahin
marzi teri jo chahe use zul-jalal de
Ghazal
Aisi taDap ata ho ke duniya misal de
Malikzada Manzoor Ahmad