اردو हिंदी
Aish se kyun KHush hue kyun gham se ghabraya kiye | Shaahi Shayari
aish se kyun KHush hue kyun gham se ghabraya kiye

Ghazal

Aish se kyun KHush hue kyun gham se ghabraya kiye

Moin Ahsan Jazbi

;

aish se kyun KHush hue kyun gham se ghabraya kiye
zindagi kya jaane kya thi aur kya samjha kiye

nala-e-be-tab lab tak aate aate rah gaya
jaane kya sharmili nazron se wo farmaya kiye

ishq ki masumiyon ka ye bhi ek andaz tha
hum nigah-e-lutf-e-jaanan se bhi sharmaya kiye

naKHuda be-KHud faza KHamosh sakit mauj-e-ab
aur hum sahil se thoDi dur par Duba kiye

wo hawaen wo ghaTaen wo faza wo us ki yaad
hum bhi mizrab-e-alam se saz-e-dil chheDa kiye

muKHtasar ye hai hamari dastan-e-zindagi
ek sukun-e-dil ki KHatir umr bhar taDpa kiye

kaT di yun hum ne 'jazbi' rah-e-manzil kaT di
gir paDe har gam par har gam par sambhla kiye