aish sab KHush aate hain jab talak jawani hai
murda-dil wo hota hai jo ki sheKH fani hai
jab talak rahe jita chahiye hanse bole
aadmi ko chup rahna maut ki nishani hai
jo ki tera aashiq hai us ka ai gul-e-rana
rang-e-zafrani hai ashk-e-arghawani hai
aah ki nahin taqat tab nahin hai nale ki
hijr mein tere zalim kya hi na-tawani hai
chaar din ki ishrat par dil laga na duniya se
kahte hain ki jannat mein aish-e-jawedani hai
gul-ruKHan ka aab-o-rang dekhne se mere hai
husn ki gulistan ki mujh ko baghbani hai
dil se kyun nahin chahun yar ko ki ai 'taban'
dil-ruba hai pyara hai jiwDa hai jaani hai
Ghazal
Aish sab KHush aate hain jab talak jawani hai
Taban Abdul Hai