اردو हिंदी
Aise mein roz roz koi DhunDta mujhe | Shaahi Shayari
aise mein roz roz koi DhunDta mujhe

Ghazal

Aise mein roz roz koi DhunDta mujhe

Bimal Krishn Ashk

;

aise mein roz roz koi DhunDta mujhe
aawaz de rahi thi udhar ki hawa mujhe

aisa hua ki ghar se na nikla tamam din
jaise ki KHud se aaj koi kaam tha mujhe

parde ke aas-pas koi bagh hi na ho
khiDki khuli to phul ka dhoka hua mujhe

ye peD jis pe phul na patti na Tahniyan
das bis sal baad jo KHud sa laga mujhe

main aaj bhi wahi hun wafa thi jise aziz
fursat mile to aa ke kabhi dekh ja mujhe

aankhon mein dil utar paDa aaina dekh kar
aaya tha ek KHayal bahut dur ka mujhe

ye fikr aa paDi hai ki badle gae na hon
sae se kah raha hun zara dekhna mujhe

kahte hain yar-dost agar bewafa kahen
ai 'ashk' aansuon ne bhi kya de diya mujhe