اردو हिंदी
Aise gum-sum wo sochte kya the | Shaahi Shayari
aise gum-sum wo sochte kya the

Ghazal

Aise gum-sum wo sochte kya the

Balbir Rathi

;

aise gum-sum wo sochte kya the
jaane yaron ke faisle kya the

hum to yun hi ruke rahe warna
apne aage wo fasle kya the

bojh dil ka utarna tha zara
warna tum se hamein gile kya the

sahra sahra liye phire hum ko
wo junun ke bhi silsile kya the

dur tak thi na gar koi manzil
phir wo ujle nishan se kya the

hum hi the jo yaqin kar baiThe
warna un ke wo moajize kya the

sar-phire the ki masKHare yaro
jo hamein yun liye phire kya the