aise dekha hai ki dekha hi na ho
jaise mujh ko teri parwa hi na ho
baz ghar shahr mein aise dekhe
jaise un mein koi rahta hi na ho
mujh se katra ke bhala kyun jata
shayad us ne mujhe dekha hi na ho
ye samajhta hai har aane wala
main na aaun to tamasha hi na ho
yun bhaTakne pe hun qane jaise
raston mein koi dariya hi na ho
raat har chap pe aata tha KHayal
uTh ke dekhun koi aaya hi na ho
kaise chhoDun dar-o-diwar apne
kya KHabar lauT ke aana hi na ho
hain sabhi ghair to apna maskan
shahr kyun ho koi sahra hi na ho
yun to kahne ko bahut kuchh hai 'shuur'
kya kahun jab koi sunta hi na ho
Ghazal
Aise dekha hai ki dekha hi na ho
Anwar Shuoor