aise chhute hain tasawwur mein tujhe hum chup-chap
jaise phulon ko chhua karti hai shabnam chup-chap
tark-e-ulfat pe bhi kar jate hain akasr gumrah
mere KHwabon ko tere gesu-e-pur-KHam chup-chap
jaise karti hi nahin tang hamein ye masum
kaise jati hai shab-e-hijr sahar-dam chup-chap
koi milta hi nahin us ko suKHan ka mauzua
baiThi rahti hai mere pas shab-e-gham chup-chap
shorish-e-waqt ne baKHshi nahin ja-e-afsos
yani karna hi paDa zist ka matam chup-chap
mauj-e-hangam-e-charaghan hai na wo rang-e-abir
shoKHi-e-id bhi KHamosh moharram chup-chap
meri aankhen hain tere husn ki goya taswir
main ne dekha hai tere husn ka aalam chup-chap
daur-e-iblis ke ye baada-gusaran 'majaz'
pite rahte hain jahannam ka jahannam chup-chap
Ghazal
Aise chhute hain tasawwur mein tujhe hum chup-chap
Majaz Jaipuri