aise bimar ki dawa kya hai
jo batata nahin hua kya hai
kaun sunta hai is zamane mein
kis se kahiye ki iltija kya hai
lab-e-bimar thartharaate hain
jhuk ke suniye zara dua kya hai
mujh ko jo dekhta hai rota hai
koi kya jaane majra kya hai
hazrat-e-KHizr bhi bata na sake
zindagani ka muddaa kya hai
dard par dusron ke hans dena
ye bhi achchha hai to bura kya hai
faKHr-e-KHatun-e-hind hai 'ismat'
hum se puchhe koi wafa kya hai

Ghazal
Aise bimar ki dawa kya hai
Rifat Zamani Begum Ismat